hukm  aayā  hai  ki  fitne  ko  bhī  fitna  na  kahūñ
jaisā  dekhā  hai  sunā  hai  use  vaisā  na  kahūñ
mere  chup  rahne  se  kyā  baat  sañvar  jā.egī
log  ḳhud  bhī  to  samajhte  haiñ  kahūñ  yā  na  kahūñ
husn  ġhamze  se  chhuTā  ishq  farāmosh  huā
aise  hālāt  meñ  kyā  sher  bhī  sachchā  na  kahūñ
ḳhud-kushī  aur  shahādat  meñ  hai  ik  farq-e-latīf
kaash  jo  kuchh  mujhe  kahnā  hai  vo  tanhā  na  kahūñ
kis  qadar  zulm  hai  hālāt  kā  'nūrī'  sāhab
aap  dhokā  mujhe  deñ  aur  maiñ  dhokā  na  kahūñ