tārīkiyoñ  meñ  ham  jo  giraftār  ho  ga.e
shāyad  sahar  se  pahle  hī  bedār  ho  ga.e
ye  kaun  sā  maqām-e-rah-o-rasm  hai  ki  vo
itne  hue  qarīb  ki  bezār  ho  ga.e
manzil  kī  samt  tujh  ko  na  le  jā.eñge  kabhī
vo  rāste  jo  aap  hī  hamvār  ho  ga.e
nākāmiyoñ  ne  aur  bhī  sarkash  banā  diyā
itne  hue  zalīl  ki  ḳhuddār  ho  ga.e
ab  ke  to  nok-e-ḳhār  bhī  gul-rañg  ho  chalī
kal  dekhnā  ki  dasht  bhī  gulzār  ho  ga.e
'nūrī'  hameñ  jahāñ  meñ  masarrat  kī  thī  talāsh
āḳhir  har  ek  shaḳhs  ke  ġham-ḳhvār  ho  ga.e