rah-e-hayāt  meñ  koī  charāġh  hī  na  milā
kisī  dimāġh  se  apnā  dimāġh  hī  na  milā
ġham-e-zamāna  se  fursat  to  mil  bhī  saktī  thī
tumhārī  yaad  se  lekin  farāġh  hī  na  milā
silā-e-ḳhās  kī  lazzat  ko  umr-bhar  tarse
ki  un  ke  haath  se  koī  ayāġh  hī  na  milā
ba-juz  latāfat  ehsās-e-justujū  dil  meñ
nigār-e-rafta  kā  koī  surāġh  hī  na  milā
tum  us  se  pūchhte  ho  lazzat-e-ġham-e-hijrāñ
ġham-e-hayāt  se  jis  ko  farāġh  hī  na  milā
bas  ab  ye  ḳhūn-e-tamannā  ho  nazr-e-vīrāna
talāsh  thī  hameñ  jis  kī  vo  baaġh  hī  na  milā
tumhī  batāo  ki  aise  meñ  kyā  banāte  ghar
ki  ghar  ke  vāste  koī  charāġh  hī  na  milā
har  ek  shaḳhs  se  hañs  kar  mile  jo  ham  'nūrī'
hamāre  siine  meñ  duniyā  ko  daaġh  hī  na  milā