ḳhud  apne  ghar  meñ  haiñ  is  tarah  aaj  aa.e  hue
ki  jaise  ghar  meñ  kisī  ke  hoñ  ham  bulā.e  hue
ki  jaise  ab  koī  ḳhurshīd  aa  hī  jā.egā
haiñ  apne  ghar  ke  añdheroñ  se  lau  lagā.e  hue
ḳhudā  kare  dar-o-dīvār  kaan  rakhte  hoñ
zamāna  guzrā  hai  rūdād-e-ġham  sunā.e  hue
in  āñdhiyoñ  meñ  na  jaane  kidhar  se  aa  jaao
maiñ  jā  rahā  huuñ  har  ik  sū  diyā  jalā.e  hue
garāñ  guzartī  hai  ab  shahr  kī  har  ik  āvāz
sunā  rahe  haiñ  vo  qisse  jo  haiñ  sunā.e  hue
ho  jaise  jurm-e-mohabbat  meñ  merī  nākāmī
har  ik  se  rahtā  huuñ  'nūrī'  nazar  bachā.e  hue