aur  bhī  ā.eñge  kuchh  ahl-e-vafā  mere  ba.ad
aur  bhī  nikhregī  duniyā  kī  fazā  mere  ba.ad
e'tirāf  apnī  ḳhatāoñ  kā  maiñ  kartā  hī  chalūñ
jaane  kis  kis  ko  mile  merī  sazā  mere  ba.ad
zindagī  saath  hai  aur  dār-o-rasan  par  hai  nazar
ḳhud  badal  jā.egā  mafhūm-e-qazā  mere  ba.ad
ġhā.ebāna  bhī  ta.āruf  mirā  kyā  kyā  na  huā
haa.e  vo  shaḳhs  ki  jo  mujh  se  milā  mere  ba.ad
zaḳhm-e-dil  haiñ  mire  phūloñ  kī  guzar-gāhoñ  meñ
narm-rau  rahnā  zarā  bād-e-sabā  mere  ba.ad
kal  tirī  bazm  kā  har  ek  tarahdār-e-vafā
lazzat-e-rashk  se  mahrūm  huā  mere  ba.ad
kaash  us  se  bhī  ta.āruf  mirā  hotā  'nūrī'
jis  pe  vo  pahle-pahal  hoñge  ḳhafā  mere  ba.ad