maiñ  lamha  lamha  na.e  apne  ḳhadd-o-ḳhāl  meñ  thā
ki  jo  bhī  kuchh  thā  maiñ  apnī  shikast-e-hāl  meñ  thā
nazar  paḌā  to  vo  aise  na  dekhā  ho  jaise
vo  aks  aks  thā  aur  apne  hī  jamāl  meñ  thā
tire  ḳhayāl  se  maiñ  is  qadar  huā  mānūs
tū  sāmne  thā  magar  maiñ  tire  ḳhayāl  meñ  thā
shikast-o-reḳht  ne  hī  mujh  ko  ḳhud-kafīl  kiyā
thā  zaḳhm  zaḳhm  magar  apne  indimāl  meñ  thā
tumhāre  va.ade  se  sadiyoñ  kī  umr  le  aayā
jo  lamha  qurbat-o-dūrī  ke  ittisāl  meñ  thā