kuchh  soch  ke  iz.hār-e-ḳhayālāt  na  karnā
har  baat  ko  sunñā  vo  tirā  baat  na  karnā
aisā  na  ho  dar-asl  tumheñ  apnā  samajh  leñ
is  darja  ġharīboñ  kī  mudārāt  na  karnā
hai  farq  marātib  ke  liye  saarā  zamāna
maiḳhāne  meñ  tauhīn-e-musāvāt  na  karnā
ik  farz  hai  tāzīm-e-ravāyāt  ba-har-taur
ik  farz  hai  tarmīm-e-rivāyāt  na  karnā
paimāna-ba-kaf  jab  ho  javānī  kī  hikāyat
is  baab  meñ  sanjīda  savālāt  na  karnā
ik  baar  tavajjoh  se  koī  baat  to  sun  lo
phir  chāhe  kabhī  ham  se  mulāqāt  na  karnā
āsān  hai  jaañ  denā  kisī  baat  pe  'nūrī'
dushvār  hai  iz.hār-e-ḳhayālāt  na  karnā