añdheroñ  kī  hukūmat  ko  miTā  kar  apne  ghar  aayā
savere  jaise  hī  āñkheñ  khulī  sūraj  nazar  aayā
gayā  mathurā  banaras  aur  ka.aba  har  jagah  lekin
milā  dil  ko  sukūñ  jab  lauT  kar  maiñ  apne  ghar  aayā
paḌī  hai  maar  jab  se  vaqt  kī  Darne  lagā  huuñ  maiñ
chaḌhā  thā  jo  javānī  kā  nasha  pal  meñ  utar  aayā
ka.ī  kāñTe  bichhā.e  dostoñ  ne  raah  meñ  merī
unheñ  chun  kar  unhīñ  rāhoñ  se  maiñ  sābit  guzar  aayā
akelā  laḌ  rahā  huuñ  zindagī  kī  jañg  bachpan  se
balā  kī  bhiiḌ  hai  koī  nahīñ  apnā  nazar  aayā
gharoñ  meñ  qaid  ho  kar  rah  ga.ī  hai  zindagī  sab  kī
zamāne  kī  fazā  meñ  dost  kaisā  ye  asar  aayā
zamāne  vaale  to  kahte  raheñge  kahne  do  in  ko
hamesha  maare  haiñ  patthar  nazar  jo  bhī  shajar  aayā
duāoñ  kā  asar  hai  mere  purkhoñ  kī  ye  'indorī'
hamesha  dushmanoñ  ke  ghar  meñ  un  ke  par  katar  aayā