Khalilur Rahman Raz

barae-KHair shar se barsar-e-paikar ho jae

Khalilur Rahman Raz

barā.e-ḳhair shar se barsar-e-paikār ho jaa.e
jise jiinā ho marne ke liye tayyār ho jaa.e
azā.em shal qavā maflūj dil be-kār ho jaa.e
agar āsāniyāñ hoñ zindagī dushvār ho jaa.e
jo rāh-e-haq meñ marne ke liye tayyār ho jaa.e
nazar meñ us kī bāzīcha farāz-e-dār ho jaa.e
agar shauq-e-shahādat ruuh meñ bedār ho jaa.e
jabīñ ḳhanjar-ba-kaf ho aur nazar talvār ho jaa.e
ināyat kī nazar dil par shah-e-abrār ho jaa.e
mirā tārīk kāshāna tajallī-zār ho jaa.e
vo dil jis ko ḳhayāl-e-mursal-e-muḳhtār ho jaa.e
tajallī-gāh-e-rahmat matla-e-anvār ho jaa.e
qayāmat kyā hai ai maulā qayāmat se agar pahle
hamārā aur un kā sāmnā ik baar ho jaa.e
tanaffus mushk-afshāñ hai takallum barq-e-jumbāñ hai
tabassum hai ki goyā nuur kī yalġhār ho jaa.e
siyāsat hai ye dil kī kyā ḳhabar ahl-e-siyāsat ko
ki kyūñ-kar parda-e-inkār meñ iqrār ho jaa.e
ye duniyā hai na ho nāzāñ nahīñ tū bā-ḳhabar nādāñ
ye yūsuf ke liye kab misr kā bāzār ho jaa.e
guzarnā hai mah-e-kan.āñ ko ik din chāh-e-kan.āñ se
jamāl ab phir barā.e imtihāñ tayyār ho jaa.e
zamāne kī qayādat paañv chūmegī tire vaa.iz
agar guftār ke Dhab par tirā kirdār ho jaa.e
supurd-e-ḳhāk karte haiñ shahīd-e-ishq ko yārab
ye daana ḳhaak meñ mil kar gul-o-gulzār ho jaa.e
sunā.egā kahāñ tak qissa-e-ġham 'rāz' rahne de
ye ġham Dar hai kahīñ dosh-e-falak par baar ho jaa.e
Top Urdushayar.com