Harbhajan Singh Sodhi Bismil

dekhna ho gar use hasti miTa kar dekh lo

Harbhajan Singh Sodhi Bismil

dekhnā ho gar use hastī miTā kar dekh lo

hai nazar ke sāmne ḳhud ko chhupā kar dekh lo

shīsha-e-dil ko hamāre ik nigah se dekh lo

phir usī andāz se teġh aazmā kar dekh lo

gor-e-majanūñ pe jo laila ne kahā kyā haal hai

qabr se aa.ī sadā parda uThā kar dekh lo

maiñ koī muusā nahīñ jo dekh kar aa jaave ġhash

gar nahīñ bāvar mujhe jalva dikhā kar dekh lo

lab shikāyat ko kahīñ hil jāveñ to phir zabt kyā

ek kyā sau baar bande ko satā kar dekh lo

kyā kahūñ kyā haal hai dil tumhāre hijr meñ

bas ke ḳhud āñkhoñ meñ aur dil meñ samā kar dekh lo

umr-bhar gulzār-e-hastī na hogī aarzū

bulbul-e-dil ko mire qaidī banā kar dekh lo

jalva-e-husn-e-do-ālam hai usī darbār meñ

sañg-e-dar par un ke bas sar ko jhukā kar dekh lo

āshiyāna faqr har barg har Tahnī pe hai

jitne dil chāheñ jalāne hoñ jalā kar dekh lo

mere ā.īne meñ ḳhud-bīnī ke sāmāñ nahīñ

aks-e-jānāñ se bharā rahtā hai aa kar dekh lo

ġham nahīñ bijlī gire jal jaa.e dil ho jaa.e ḳhaak

arz ik 'bismil' hai ki muskurā kar dekh lo

Top Urdushayar.com