Harbhajan Singh Sodhi Bismil

aa idhar aa hausla gar kuchh hai qatil aur bhi

Harbhajan Singh Sodhi Bismil

aa idhar aa hausla gar kuchh hai qātil aur bhī
dekhtā jā shauq-e-vasl-e-rūh-e-bismil aur bhī
dekh kar maqtal meñ josh-e-ḳhūn-e-bismil aur bhī
chaḌh gayā ik dam dam-e-shamshīr-e-qātil aur bhī
jab se apnā ka.aba-e-dil jalva-gāh-e-yār hai
baḌh ga.ī hai āshiqoñ meñ azmat-e-dil aur bhī
chāhne vaalā tirā ik maiñ hī to tanhā nahīñ
shukr hai is jurm-e-ulfat meñ haiñ shāmil aur bhī
dekhiye phir kis tarah hotā nahīñ un par asar
kaash sun lete navā-e-parda-e-dil aur bhī
chashm-e-sāqī ho idhar bhī daur-e-jām-e-nigāh
haiñ darūn-e-ḳhāna-e-ulfat meñ haiñ shāmil aur bhī
maiñ to pahle hī se nazr-e-āsiyā-e-charḳh thā
ishq ne rakh dī mire siine pe ik sil aur bhī
maiñ to terā ho liyā tū bhī to ho merā kabhī
terī nazar-e-mehr ko takte haiñ 'bismil' aur bhī
Top Urdushayar.com