Qurbi Velori

ek raat baKHt sun main rindan ka sat paya

Qurbi Velori

Bijapur, Karnataka, India

1706-1769
ik raat baḳht suuñ maiñ rindāñ kā saat paayā
irfāñ ke mulk-e-dīñ par haq suuñ barāt paayā
man-arafa-nafsahu kā añjan lagā ko dekhā
har chiiz zāt-e-haq bin maiñ be-sabāt paayā
yū nafs-e-dūñ havā suuñ pakḌe liyā thā merī
murshid kī kafash uThā.īñ us suuñ najāt paayā
yū qaul o fe.al merā mujh iḳhtiyār suuñ niiñ
hat panj maat kī maiñ aapas kī zaat paayā
taslīm kar apas kuuñ us kī razā ke uupar
mahbūb kā apas par nit iltifāt paayā
jā but-kade meñ dekhā chashm-e-yagāñgī suuñ
haq bin nahīñ disyā gar uzzā-o-lāt paayā
ism-o-sifat kā jalva ism-o-sifat meñ dekhā
har zaat kuuñ ḳhudā kī maiñ ain-e-zāt paayā
qatra hai ain-e-dariyā dariyā hai ain-e-qatra
bhī donoñ ġhair hī haiñ nādir yū baat paayā
har shai hai ain-e-har-shai bhī shai hai ġhair-e-har-shai
murshid ke lutf suuñ maiñ kyā ḳhuub baat paayā
mahtāb-e-ilm sulgā gul-rez ma.arifat ke
kar jahal ko havā.ī ḳhush shabbarāt paayā
ruuñ ruuñ zabāñ karūñ to us kī sanā na sar sī
'qurbī' karam suuñ haq kī kyā ḳhush-nikāt paayā
Top Urdushayar.com